Main Usay Kesy Akela Chore Doon Is Rah Main
Sath jo Chalta Raha Majboriyon K Bad Bhi
Ban K Khushboo Rach Gaya Hai Yun Meray Ehsas Main
Door Ho Paya Nahin Wo Dooriyon K Bad Bhi
Rafta Rafta Us Ko Bhi Ye Duniya raas aa Gai
Muskra K Wo Mila Hai Ranjishon K Baad Bhi
Faslay Kab Kam Huwe Hain Rabton K Bad Bhi
Ajnabi They Ajnabi Hain Mohabbaton K Bad Bhi..
dil dharaknay ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalna aye dost
tu musibat main ajab yaad aaya
din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada_e_shab yaad aaya
tera bhola howa paimaan_e_wafa
mar rahaingay agar ab yaad aaya
phir kai loug nazar se guzray
phir koi shaher_e_tarb yaad aaya
haal_e_dil hum bhi sunatay lekin
jab wo ruhksat howa tab yaad aaya
baith kar saya_e_gul main ADeeL
hum bohot roye wo jab yaad aaya
Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon
Main khud ko rakh kar key kahin bhool jana chahta hoon
Mere naseeb ki khushiyan bhi kab mili mujh ko
Bas ab to umer bhar aansoo bhahana chahta hoon
Najane kitni Mohabbat hai ranj-o-gham se mujhe
Koi bhi dard ho dil main chupana chahta hoon
Baha baha key ye aansoo bikher chuka hoon bahot
Simat key zaat main ab muskurana chahta hoon
Jise ek umer dil main chupa key rakha hai
Wo raaz aaj main sab ko batana chahta hoon
Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi sarey sitam bhool jana chahta hoon
Mujhe zamane ne pather samaj liya hai
Main ek larka hoon sab ko batana chahta hoon
Jo mujse rooth chuki hain zamane ki khushiyan
To main bhi un khushiyon se rooth jana chahta hoon
Tu apne Dil ka her ek darwaza ko khool de
Main dard ban ker tere dil main aana chahta hoon.
Piyar Ke Deep Jalanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Apni Jaan Se Janay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Hijer ke Gehray Zakhm Millay Tu Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Jaan Se Piyaray Logon Se Kuch Kuch Perdah Lazim Hay
Saari Baat Batanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Khowabaon Mainbhi Pya Milan Ke Sapnay Dekhtay Rehtay Hain
Neendon Main Muskanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Iss Jhooti Nagri Main Hum Ne Yehi Haiamsha Dekha Hay
Suchi Baat Batanay WalayKuch Kuch Pagal Hotay Hain
Piyar Jinhain Ho Jai Un Ko Chain Bhala Kab Mil Pata Hay?
Shub Bhar Ashk Bahanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Apni Zaat Ke Ujray Gulshan Se Wo Piyar Kahan Kertay Hain ?
Aoron Ko Mehkanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Uss Ke Ishq Main Bheeg Ke WASIQ Hum Ko Ye Ehsas Hua
Dil Baat Main Anay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate' HaiN
YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate' HaiN
Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane' KyuN
Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate' HaiN
Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN
Laf'z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate' HaiN
Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle' Mohabbat Se HamaiN
Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate' HaiN
Aik Sa Waq't Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai
Gardish-e-Waq't Se Haalaat Badal Jaate' HaiN