Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kiun Nehi Kam Hota Mera
Ansoon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhai Main Kyun Rota Rehta Hoon
Na Jeta Hoon Na Marta Hoon
Us Ki Yaadon Main Rota Rehta Hoon
Pata Hai Wo Kabhi Nehi Milay Gi Mujhe
Phir Bhi Us Ka Intazar Rehta Hain Mujhe
Usay Bhool Kar Kasi aur [...]
Ae dil e beqarar chup ho ja
Ja chuki hai bahar chup ho ja
Ab na ayeingy rothney waley
Dedah-e-ashkbar chup ho ja
jaa chuka karwaan-e-lala-o-gul
udh raha hey gubaar chup ho ja
chuott jati hey phool sey khushboo
rooth jatey hain yaar chup ho ja
Hum faqeeron ka is zamany mei
kon hey ghamgusar chup hoja
haadsoun ki na aankh khul jaye
hasrat-e-sogawaar chup ho ja
geet ki zarb sey bhi aey " jana "
toot jatey hain taar chup ho ja ...
Din Dhala, Sham Dhali, Maykhane Me Raat Chali Gayi
Waqt Badla, Log Badle, Zindagi Se Aas Chali Gayi
Maut Ke Aagosh Me Sone Ki Koshish
Zindagi Se Muh Modkar Jeene Ki Koshish
Har Koshish Me Tum, Har Kashish Me Tum
Meri Baaton Me Tum, Meri Raaton Me Tum
Baaten Chali Gayee, Raaten Chali Gayee, Tum Chali Gayee
Jagah Badla, Jism Badla, Abhash Badal Gaya
Na Badla To Ek Ehsas Tera, Mere Hone Ka.
Mujhe kabhi kabhi ye khayal aata he
Ke koi hai jisey mujh per bhi piyar aata he
Mera her gham uss ko lagta he apna
Meri har khusi pe uss ko qarar aata he
Phir janey kiun woh kehne se darti he
Aisa janey kia uss ke mann main khayal aata he
Ankhon se aqsar iqrar karti he
Kiun honthon per har baar inkar aata he
Sochta hoon main hi kehe doon woh jo kehe na saki
Lekin phir na sunn kar bicharne ka khayal aata he
Chalo acha he hanstey hastey hi main chala jaon ga
Ke shayed koi hai jisey mujh per bhi piyar aata he ..
Aey merey hamnasheen chal kaheen aur chal
is chaman mein ab apna guzaara nahin
baat hoti gulon tak to seh letey hum
ab to kaaton pey bhi haq hamara nahin
jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab sey pehley hamari hi gerdan kati
phir bhi kehtey hain humsey yeh ahley chaman
yeh hamara chaman hey tumhara nahin
aaj aaye ho aur kal chaley jaoge
yeh mohabbat ko meri gawara nahin
umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin ...