Anjana sa ik dar lga rehta hy
Koi saya jo mujko ye kehta hy
Kahin or na bus jaye jo try dil me
Tery jism, tri roh me bsa rhta hy
Koi saya jo mujko ye kehta hy
Tu jiski mohbt ka talabgar hy
Jis sy tujko tujsy zyada pyar hy
Kab tak chhupa payo gy zmany sy
Jo nam tri zuban py sda rhta hy
Koi saya jo mujko ye kehta hy
Us k bin kaisy din tm guzaro gy
Bikhri chahtin kaisy sanwaro gy
Wo nam mitaao gy kis tarha tm
Phool bn kr tery dil py sja rehta hy
Koi saya jo mjko ye kehta hy
Tery aanso tri uljhan sb kya hy
Mohbbat me jaisy koi fana hy
ALI kb tak wo ghum seh payo gy
Jo try dil me har lamha dba rhta hy
Koi saya jo mujko ye kehta hy
Ban jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?
Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?
Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jayai agar pyar saza kaisa lagay ga ?
Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai... dagha kaisa lagay ga?
Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?
Na Main Pass Usko Bula Saka
Na Main Dil ki Baat Suna Saka
Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya
K Main Haath Tak Na Hala Saka
Mujhe kiya khabar k wo kiya howa
Mujhe kitna ghehra khuumar tha
Main khara tha us k hissar main
Mery ird ghird ghoobar tha
Yunhi sochta raha Dair talak
Magher usko kuch na bata saka
Na main pass usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka
Na hai Dushmahi kisi Din say ab
Na hai Doosti kisi Raat say
Hai Bacha hi kiya jo woh ley gaya
Mujhe cheen kar meri zaat say
ye Muqaam tha hi Ajeeb sa
k main khud ko bhi na Bacha saka
Na main paas usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka
Ye bhi theek hai k wo chal diaya
Mujhe band rasty pe choor kr
Ye bhi theek hai k na aay ga
khabi Butt Anna ka wo torr kr
wo Judda bhi aisy howa
k main koi Rassam bhi na Nibha saka
Na Main Pass Usko Bula Saka
Na Main Dil ki Baat Suna Saka
Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya
K Main Haath Tak Na Hala Saka
kuch ratein aisi ratein hein,
kuch batein aisi batein hein,
jo shuro tu hoon pur khatm na hoon,
jo mur jaein tu janam na hoon,
buss yad hamesha rehti hein,
or pulkein bheegi rehti hein,
sawan main jharokon ka pani ,
khirki pey tapakta rehta hai,
dil usko dhoondta rehta hai,
jo par samandar rehta hai,
or sapnoon main aa kur kehta hai,
ye raat bohat ujyari hai,
buss teri turha hi peyari hai,
tum aa jao tum mil jao,
iss chaand main tum bhi dhul jao
main kesy maan loon tu ne mujhy such mooch bhulaya hai....
agar aisa hai tu dil ne mujhy phir keun sataya hai......
keun teri ankh ke aansu meri ankhoon se girty hein......
keun teri yaad ne shub bhur mujhy pul pul jalaya hai......
tarap jati nahi dil se,qarar aata nahi dil ko.....
ye kesa dard ai janam meri rooh main samaya hai.....
kisi ko chor deny se,youn rukh ko mor leny se....
muhabat kum nahi hoti bohat hi azmaya hai.......
zara betho kabhi tunha younhi dhulti si shamoon main....
hur ek munzar pukary ga tumhein main ne bulaya hai....
meri zulfoon ke peech-o-khum basy hein teri khushboo main
tera hi peyar jan-e-mun rag-e-jaan main samaya hai.
palat kur deikh lay zalim tery peechy hai ek siski...
jisy tu ne rulaya hai jisy tu ne hansaya hai.